Apna Asmaan banana baaki hai

Indradhanush ko Mutthi mein bharkar,
Holi ke rang banana baaki hai.

Phoolon ke parag ko,
Oss ki boondon se goondhkar,
Khushiyon ki pooriyan talni hai mujhe,

Abhi kahan- abhi toh bas paaon dhara hai,
Tumhare aangan ki geeli mitti par,

Chhap abhi sookhi nahi hai,
Ehsaason ke sikke chun na baaki hai.

Rishton ke samudra mein doobkar,
Kuchh Moti dhoondh loon zaraa,
Ek maala si banani hai mujhe,

Jaldi kya hai zindagi, fursat se baitho yahan
Is aakash ke neeche ,
Apna aasman banana baaki hai!

Subscribe for Post Notifications!

We’d love to keep you updated with our latest Posts! We promise we’ll never spam.

Sharing the Post

4 comments

  1. Superb writing Aradhana .one can relate to every word penned.loved your poetry.

    1. Thank you Anubhuti! This comment shall always be special, for this is the first one , not only for this poem but also for this page!

  2. Bahut khoob!!! Aasman ki unchaiyon ko choo lo yahi tamanna hai. God bless u dear.

Comments are closed.